GHUSL-E HAIZ KA SAHEEH TARIKA

GHUSL-E JANABAT ME AURAT KAI LIYE SIR KI MAINDHIYAN KHOLNA ZARURI NAHE:
———————————————
Hazrat Suban (R.A) Se Marvi Hai Ki:
“Sahaba Ne Rosoolullah (S.A.W) Se Ghusl-e Janabat Kai Baray Me Pucha To Aap (S.A.W) Ne Farmaya Mard Ko Apnay Baal Puri Tarah Kholnay Chahiye Aur Wo Inhain Achi Tarah Dhoye Hatta Ki Paani Balon Ki Jadon Tak Pohanch Jaye Lekin Aurat Kai Liye Balon Ko Kholna Lazmi Nahe. Isay Sirf Apnay Dono Hathon Se Teen (3) Lap Paani Dalna Hi Kafi Hai.”
(Sahi Abu Da’wud, Abu Da’wud, Hadees: 255)

Hazrat Umm-e Salma (R.A) Bayan Karti Hain Ki Me Ne Arz Kiya Aay Allah Kai Rasool! Me Apnay Sir Kai Baal (Maindhiyon Ki Sorat Me) Bandti Hun Kya Ghusl-e Janabat Kai Liye In Ko Kholun? To Aap (S.A.W) Ne Farmaya “Nahe, Bas Tumhain Itna He Kafi Hai Ki Tum Apnay Sir Par Teen (3) Chullu Paani Baha Diya Karo.”
(Muslim, Hadees: 330)

Hazrat Aaisha (R.A) Ko Itlaa Mili Ki Hazrat Ibni Umar (R.A) Auraton Ko Ghusl-e Janabat Aur Ghusl-e Haiz Kai Liye Sir Kai Baal Kholnay Ka Hukum Detay Hain. Is Par Inhon Ne Izhar-e Ta’ajub Kiya Ki Abdullah (R.A) Ko To (Is Maslay Ka) Elim Hi Nahe Hai Wo Kaisay Auraton Ko Baal Kholnay Ka Hukum Detay Hain, Is Se To Behtar Hai Ki Wo Auraton Ko Sir Mundwanay Ka Hukum De Den. (Aur Yaad Rakho!) “Me Aur Rasoolullah (S.A.W) Eak Hi Tub Numa Bartan Me Ghusl Kar Liya Kartay Thay Aur Me Sirf Sir Par Teen (3) Martaba Paani Dal Leti Thi (Yaani Sir Kai Baal Khol Kar Dhonay Ki Zarurat Nahe Samajhti Thi).
(Muslim, Hadees: 331)

GHUSL-E HAIZ ME AURAT KAI LIYE SIR KI MAINDHIYAN KHOLNA ZARURI HAI:
———————————————
Hazrat Aaisha (R.A) Se Riwayat Hai Ki Jab Wo Ghusl-e Haiz Karany Lagen To Nabi (S.A.W) Ne Inhain Farmaya “Apnay Baal Kholo Aur Ghusl Karo.”
صحیح: الصحیحة 188

Ghusl-e Haiz Me Maindhiyan Kholna Wajib Hai Aur Ghusl-e Janabat Me Kholnay Ki Zarurat Nahe.
[Albani (Rahimahullah)]
الصحیحة، تحت الحدیث/188
نظم الفراید 1/275

GHUSL-E HAIZ KA TARIKA:
———————————————
Hazrat Aaisha (R.A) Bayan Karti Hain Ki:
“Hazrat Asma (R.A) Ne Nabi (S.A.W) Se Ghusl-e Haiz Kai Muta’alliq Sawal Kiya To Aap (S.A.W) Ne Farmaya Pehlay Paani Me Beri Kai Pattay Dalon Aur Achi Tarah Haiz Kai Khoon Se Paki Hasil Karlo, Phir Sir Par Paani Dalon Aur Achi Tarah Malo Hatta Ki Paani Balon Ki Jadon Tak Pohanch Jaye, Phir Saray Badan Par Paani Bahao, Phir Khushbo Lagi Rue (Cotton) Lekar Is Se Paki Hasil Karo. Hazrat Asma (R.A) Ne Arz Kiya Ki Rue Kai Tukday Kai Sath Kesay Paki Hasil Karun? Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya Subhan Allah, Is Kai Sath Paki Hasil Karo. Phir Aaisha (R.A) Ne Halki Awaaz Se Bataya Ki (Khushbo Waali Rue) Haiz Ki Jagah Par Laga Do.”
(Bukhari, Hadees: 314)
(Muslim, Hadees: 332)

POSTED BY: SAJAD BAKSHI
———————————————