ZAKAT-UL-FITR (SADAQAT-UL-FITR)

Zakat-Ul-Fitr Ko Sadaqat-Ul-Fitr Kai Naam Se Bhi Jana Jata Hai.

Rasoolullah (Sallallahu Alaihi
Wasallam) Ne Zakat-Ul-Fitr Ko Har Muslamaan Mard, Aurat, Budhe, Bachche Par Farz Kiya Hai.
(Sahi Muslim, Hadees: 984)

Koi Bhi Cheez Jo Insan Khane Ke Liye Istemaal Karta Hai, Jaisa Ke Barley, Khajoor, Gyahu Wagera Zakat-Ul-Fitr De Sakte Hai.
(Ibn Khuzaimah, Hadees: 4/80)

Shaykh Ibn Uthaymeen Ne Iski Miqdaar Ek Shaks Se 1 Saa Yani 2.1 Kilograms (Yani 2100 Grams) Batayi Hai.
(Fataawa Al-Zakaah, P. 274-276)

Zakat-Ul-Fitr Khane Ki Cheez (Gyahu, Anaaj, Khajoor) Hi Dena Chahiye, Paisa Dena Sunnat Se Sabit Nahi, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Sirf Khane Ki Cheez Hi Di Thi.
(Majmu Fatawa Bin Baaz: 14/208)

Zakat-Ul-Fitr Sirf Gharibo Muhtajo, Misqeeno, Bewaho Ko Dena Chahiye, Taaki Wo Bhi Eid Ki Khushiya Mana Sake, Khaa-Pee Sake, Zakat-Ul-Fitr Ko
Muhtajo Ke Ilawa Kisi Aur Ko Dena Jayaz Nahi Hai.

Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Zakat-Ul-Fitr Ko Farz Kiya Taaki Rozedar Se Roze Ki Halat Me Jo Koi Fuzul Baat Sarzad Ho Gayi Ho, Wo Us Se Paak Ho Jaye Aur Misqeeno Ko Khana Mesar Aa Jaye.
(Mishkat Shareef: 1/570)

Rasoolullah (Sallallahu Alaihi
Wasallam) Ne Farmaya:
Zakat-Ul-Fitr Garibo, Misqino,
Muhatajo Ka Haq Hai, Eid Se Pehle Un Tak Pahunch Jaye Toh Wo Muhatajgi Se Bach Jayenge.
(Sunan Ibn Majah, Hadees: 1872)

Zakat-Ul-Fitr Ko Eidgah Jane Se Pehle (Yani Eid-Ul-Fitr Ki Namaz Ada Karne Se Pehle) De Dena Chahiye, Isko Ada Karne Me Takheer Nahi Karna Chahiye, Jaise Ke Eid Ki Namaz Ke Baad Dena Ya Eid Ke 5, 10 Din Pehle Dena Bhi Jayaz Nahi Hai. Eid Ke 1 Ya 2 Din Pehle Zakat-Ul-Fitr Dena Jayaz Hai.
(Sunan Ibn Majah, Hadees: 1827)

Rasoolullah (Sallallahu Alaihi
Wasallam) Ne Farmaya:
Jisne Eid Ki Namaz Ke Baad Zakat-Ul-Fitr Diya, Uska Farz Ada Nahi Hua, Usko Nafil Sawab Milega, Ye Uski Taraf Se Sirf Sadqa Hoga.
(Sunan Abu Da’wud, Hadees: 1622)

ZAKAT-UL-FITR ADA KARNAY KA FAIDA:
———————————————
1. Ye Ek Tarah Ka Kaffara Hai Jo Rozo Ki Halat Me Hum Se Hua, Jaise Ke Galatiyan, Khotahiyan, Fuzul Baatein.
2. Ye Behtareen Zariya Hai Garibo Ki Muhatajgi Door Karne Ke Liye.
3. Eid Kai Barkat Wale Din, Gharib Bheeq Maangnay Se Bach Jayenge.

POSTED BY: SAJAD BAKSHI
———————————————