MUHARRAM KA MAHINA AUR AASHURA KA ROZA

MUHARRAM KA ROZA
(AASHURA KA ROZA)
———————————————
Sab Rozo Main Afzal Ramadan Ka Roza, Aur Oskay Baad Muharram Ka Roza Hain…..

Abu Hurairah (Radi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hain Ki Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:
“Sab Rozo Main Afzal Ramadan Ka Roza, Aur Oskay Baad Muharram Ka Roza Hain, Jo Allah Ka Mahina Hain Aur Baad Namaz-e-Farz Kay Tahajjud Ki Namaz Hain”.
(Sahih Muslim, Vol-No: 3, 2755)

Abu Hurairah (Radi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hain Ki Eak Sahib Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Kay Khidmat Main Hazir Hokar Arz Karney Lagey Kay
“Ramadan Kay Baad Sabsey Ziyada Fazilat Kaun Say Rozey Ki Hain, To Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Nay Farmaya:
“Allah Ta’ala Ka Mahina Jisey Tum Muharram Kahtey Ho”
(Sunan Ibn Majah, Vol-No: 1, 1742 Sahih)

MUHARRAM KE ROZE KI SHURUWAAT AUR ISKA TAARIKHI PASMANZAR:
———————————————
Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Ta’ala Anhu) Sey Riwayat Hain Kay Jab Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Madiney Main Tashreef Laye To Yahudiyon Ko Dekha Kay Aashurey Ka Din Ka Roza Rakhtey Hain, Logo Ney Unn Sey Pucha Ki Kyon Roza Rakhtey Hain, To Unhoney Kaha Ki Ye Wo Din Hain Jab Allah Ta’ala Ney Musa (Alaihi Salaam) Aur Banee Israeel Ko Firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye Aaj Hum Rozedar Hain, Iski Taazeem Kay Liye, To Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Farmaya:
“Hum Tum Sey Ziyada Dost Hain Aur Kareeb Hain Musa (Alaihi Salam) Kay, Phir Hukum Diya Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Iss (10 Muharram) Rozey Ka.”
(Sahih Muslim, Vol-No: 3, Book: 6 (Roze Ka Masail), Hadees-No: 2656)

AASHURA KE ROZE KI FAZILAT:
———————————————
Abu Qatada Al-Ansari (Radi Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Kai Ki Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Aashura (10 Muharram) Ke Din Ke Rozey Ke Bare Mein Pucha To Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Faramaya Ye Guzrey Huye Saal Ke Gunahon Ka Kaffara Hai.
(Sahih Muslim, Vol-No: 3, Book: 6 (Roze Ka Masail), Hadees-No: 2747)

MUHARRAM ME AASHURA KA ROZA KAB RAKHNA HAI:
———————————————
Aksar Logon Ko Ye Shak (Doubt) Rehta Hai Ki Kya 10 Muharram Ka Eak Hi Roza Rakhna Chahiye Ya Do Roze Rakhnay Hai?
Iska Jawab Hadees Ke Mafhoom Se Maloom Kartey Hain…..

Hazrat Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Hai Ki Jab Roza Rakha Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Aashurey Ke Din (10 Muharram) Ka Aur Hukum (Order) Kiya Is Rozey Ka, To Logo Ne Arz Ki:
“Ya Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ye Din To Aesa Hai Ki Iski Taazeem Kartey Hain Yahud Aur Nasara”?
To Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ki:
“Jab Agla Saal Aayega To Inshallah Hum 9 Ka Roza Rakhege”
Aakhir Agla Saal Na Aane Paya Ki Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Duniya Se Parda Farma Liya.
(Sahih Muslim, Vol-No: 3, 2666)

To Maloom Ye Huwa Ki 10 Muharram Ka Wahid Roza Rakhna Jayez Nahi Hai Balki Ya To 9 Aur 10 Muharram Ka Roza Rakhlein Ya Phir 10 Aur 11 Muharram Ka Roza Rakhlein Eak Saath.

POSTED BY: SAJAD BAKSHI
———————————————