ISLAM KI PEHCHAAN PART: 4

Q: Hajj Ki Daleel Kya Hai?
A: Irshaadi Bari Ta’ala Hai:
“Aur Allah He Kai Leye Logu’n Par Bitullah Ka Hajj Hai Jis Kai Paas Is Ki Taqat Ho Aur Jis Ne Inkaar Keya To Allah Ta’ala Donu’n Jaha’n Se Bay Niyaaz Hai”-
(Al Qur’aan Surat Aal-E-Imran: 97)

Q: Deeni Islam Ki A’sil Kya Hai?
A: Deeni Islam Ki A’sil Do (2) Chezay Hain:
1: Sirf Allah Ki Ebadat Ka Hukum Dena Ki Is Kai Saat Koi Dusra Shareek Nahe Hai- Logu’n Ko Isi Baat Ki Raqbat Dilana- Isi Silsilay Me Dosti Karna Aur Jo Is Ko Chood Day Us Ko Kafir Qarar Dena-
2: Shirik Se Logu’n Ko Darana- Is Kai Leyai Dushmani Karna Aur Jo Shirik Karay Us Ko Kafir Qarar Dena-

Q: Imaan Kai Kitnay Arkaan Hai?
A: Imaan Kai 6 Arkaan Hain:
1: Allah Par Imaan Lana-
2: Farishtu’n Par Imaan Lana-
3: Is Ki Tamaam Kitaabu’n Par Imaan Lana-
4: Tamaan Paighambaru’n Par Imaan Lana-
5: Youmi Aakirat Par Imaan Lana-
6: Taqdeer Par Imaan Rakhna-

Q: Is Ki Daleel Batao?
A: Irshaadi Bari Ta’ala Hai:
“Neki Ye Nahe Hai Ki Tum Apnay Chehru’n Ko Mashriq Wa Magrib Ki Janib Phair Lo Lekin Neki Ye Hai Ki Jo Allah Par Imaan Layai, Youmi Akhikart Par Tamaam Farishtu’n, Kitaabu’n Aur Tamaam Nabiyu’n Par Imaan Layai”-
(Al Qur’aan Surat Al-Baqara: 177)

Q: Taqdeer Ki Daleel Kya Hai?
A: Irshaadi Bari Ta’ala Hai:
“Beshak Hum Nay Har Cheez Ko Miqdaar Kay Saat Paida Keya”-
(Al Qur’aan Surat Al-Qamar: 49)

Q: Ahsaan Kya Hai?
A: Ahsaan Ye Hai Ki Tum Allah Ki Ebadat Karo Is Tarah Ki Tum Us Ko Dekh Rahay Ho Aur Agar Tum Usko Nahein Dekhtay To Wo Tum Ko Zorur Dekh Raha Hai-

Q: Is Ki Daleel Kya Hai?
A: Irshaadi Bari Ta’ala Hai:
“Be Shak Allah Ta’ala Un Logu’n Kai Saat Hai Jo Us Se Dartay Hai Aur Wahe Loog Ahsaan Karnay Walay Hai”-
(Al Qur’aan Surat An-Nahl: 128)

Q: Tumhara Nabi Kon Hai?
A: Mera Nabi Mohammad Bin Abdullah (S.A.W) Hain-

Q: Aap (S.A.W) Ki Umar Kinti Thi?
A: Aap (S.A.W) Ki Umar 63 Saal Thi 40 Saal Nabuwat Se Pehlay Ki Zindagi 23 Saal Nabuwat Kai Baad-

Q: Aap Sallallahu Alaihe Wasallam Kis Shehar Me Paida Huway?
A: Aap (S.A.W) Macca Mukarrama Me Paida Huway-

Q: Aap (S.A.W) Ne Kis Shehar Ki Taraf Hijrat Ki?
A: Aap (S.A.W) Ne Madinay Munawarra Ki Taraf Hijrat Ki-

Q: Aap (S.A.W) Ki Wafaat Kaha Huwi?
A: Aap (S.A.W) Ki Wafaat Madinay Munawarra Me Huwi-

Q: Hijrat Kissay Kehtay Hai?
A: Shirik Kai Shehar Se Islam Kai Shehar Me Muntaqil Hona Hijrat Hai Aur Ye Qiyamat Tak Baqi Rahay Ga-

Q: Is Ki Daleel Kya Hai?
A: Irshaadi Bari Ta’ala Hai:
“Jo Loog Apni Janu’n Par Zulum Kartay Hain Jab Farishtain Un Ki Jaan Kabez Karnay Lagtay Hai To Un Se Pochtay Hai Ki Tum Kis Haal Me Thay Wo Kehtay Hain Ki Ham Mulk Me Aa’jiz Wa Natiwa’n Thay- Farishtay Kehtay Hai Kya Khuda Ka Mulk Firaak Nahein Tha Ki Tum Is Me Hijrat Kar Jatay? Aesay Logu’n Ka Thikana Dozak Hai- Aur Wo Burri Jagah Hai”-
(Al Qur’aan Surat An-Nisa: 97)

Q: Hadees Se Is Ki Daleel Kya Hai?
A: Rasoolallah (S.A.W) Ka Irshaad Hai:
“Hijrat Khatim Nahe’n Hogi Yaha Tak Ki Toba Khatim Ho Jayai Aur Toba Khatim Nahe’n Hogi Yaha Tak Ki Suraj Magrib Se Niklay-
(Ahmad, Da’wud, Darmi)

Q: Rasoolallah (S.A.W) Zinda Hai Ya Wafaat Pachukay Hai?
A: Aap (S.A.W) Wafaat Pachukay Hain Aur Aap Ka Deen Qiyamat Tak Baqi Rahay Ga-

Q: Aap (S.A.W) Kai Wafaat Honay Ki Kya Daleel Hai?
A: Irshaadi Bari Ta’ala Hai:
“(Aay Paighambar Sallallahu Alaihe Wasallam) Beshak Tum Bhi Marnay Walay Ho Aur Wo Loog Bhi Marnay Walay Hain”-
(Al Qur’aan Surat Az- Zumar: 31)

Q: Kya Loog Marnay Kai Baad Dubara Uthayai Jayai’n Gai?
A: Haa’n-

Q: Is Ki Daleel Kya Hai?
A: Irshaadi Bari Ta’ala Hai:
“Isi (Zameen) Se Ham Ne Tum Ko Paida Keya Isi Me Ham Tum Ko Lotayai’n Gai Aur Isi Se Ham Tum Ko Dubara Nikalein Gai”-
(Al Qur’aan Surat Ta-Ha: 55)

Q: Jis Ne Dubara Uthayai Janay Ko Jutlaya Us Ka Kya Hukum Hai?
A: Wo Kafir Hai-

Q: Is Ki Daleel Kya Hai?
A: Irshaadi Bari Ta’ala Hai:
“Kafiru’n Ka Gumaan Hai Ki Wo Nahe’n Uthayai Jayai’n Gai Aap Keh Dijeyai Nahe’n Aur Meray Rabb Ki Kasam Tum Loog Zorur Ba Zorur Uthayai Jao Gai Phir Tumhari Kar Kardigi Ka Tum Ko Khabardaar Kiya Jayai Ga Aur Ye Allah Par Bohat Aasaan Hai”-
(Al Qur’aan Surat At-Taghabun: 7)

POSTED BY: SAJAD BAKSHI
——————————-