NIFAS KA BAYAN

NIFAS KA MAA’NA WA MAFHUM:
———————————————
Lafz “Nifas” Masdar (Source) Hai Baab Nafisa Yanfasu (Sam’a) Se. Is Ka Maa’na “Bacha Janna Aur Haiza Hona” Mustamil Hai Aur Is Ki Jam’a “Nufasa” Aati Hai.
القاموس المحیط، ص/534
المنجد، ص/913

Islahan Nifas Aesa Khoon Hai Jo Paidaish Kai Waqt Bachay Kai Sath Ya Baad Me Kharij Ho.
انیس الفقهاء، ص/64

NIFAS KI ZYADA SE ZYADA MUDDAT CHALEES DIN HAI:
———————————————
Hazrat Umm-e Salma (R.A) Se Marvi Hai Ki “Nifas Waali Khawateen Ohad-e Risalat Me Chalees (40) Din Iddat (Period Of Waiting) Guzaarti Theen”
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 304)
(Ibn Majah, Hadees: 648)

Hazrat Anas (R.A) Se Riwayat Hai Ki:
“Rasoolullah (S.A.W) Ne Nifas Waali Khawateen Kai Liye Chalees Din Muqarrar Kiye Thay Illa Ki Wo Is Se Pehlay Paaki Hasil Karlen.”
ضیعف ابن ماجة 138
ارواء الغلیل 201
بیهقی 1/343

JAMHOOR ULAMA:
Nifas Ki Zyada Se Zyada Muddat Chalees Din Hai.
المجموع 2/539
المغنی 1/345
المحلی 2/203

NAWAWI (RAHIMAHULLAH):
Sahaba, Tabi’een Aur In Kai Baad Walon Me Se Aksar Ulama Kai Nazdeek Nifas Ki Zyada Se Zyada Muddat Chalees Din Hai. Imam Tirmizi (Rahimahullah) Aur Imam Khattabi (Rahimahullah) Wagaira Ne Bhi Yahi Qaul Aksar Ulama Se Naql Kiya Hai.
المجموع 2/524

Ibn Qudamah, Shokani, Abdur Rahman Mubarak Puri (Rahimahullah Alaihim):
Nifas Waali Khawateen Par Chalees Din Iddat Guzaarna Wajib Hai.
المغنی لابن قدامة 1/427
نیل الاوطار 1/414
تحفة الاحوذی 1/452

AGAR CHALEES DIN KAI BAAD BHI KHOON AATA RAHAY?
———————————————
SHEIKH IBN USEMEEN (RAHIMAHULLAH):
Agar To Aurat Ki Aadat Pehlay Se Hi Chalees Din Se Za’id (More) Hai To Wo Aadat Kai Mutabiq Amal Karegi Aur Agar Aesa Nahe To Phir Is Me Ulama Ka Ikhtilaaf Hai. Baaz Ne Kaha Hai Ki Wo Ghusl Kar Kai Namaz, Roza Aur Digar Ibadaat Sar Anjaam Degi Aur Mustahaza Kai Hukum Me Hogi, Baaz Ne Kaha Hai Ki Wo Aath (8) Din Tak Intizaar Karegi Is Kai Baad Wo Mustahaza Ki Maanind (Tarah) Shumaar Hogi.
فتاوی المراة المسلمة 1/303

SHEIKH MOHAMMAD BIN IBRAHIM AL SHEIKH:
Agar To Is Ki Pehlay Se Ye Aadat Hai To Wo Isi Kai Mutabiq Amal Karegi Aur Agar Aesa Nahe Hai To Wo Chalees Din Puray Karnay Kai Baad Ghusl Kar Kai Rozay Aur Namaz Ada Karegi.
فتاوی المراة المسلمة 1/297

NIFAS KI KAM-AZ KAM KOI MUDDAT MUQARRAR NAHE:
———————————————
Kyunki Is Ki Koi Daleel Maujud Nahe Sirf Hadees Me Itna Mazkur Hai Ki “(Nifas Waali Auratain Chalees Din Namaz Chodengi) Illa Ki Is Se Pehlay Paaki Mehsoos Karlen (To Ghusl Kar Kai Namaz Padhengi).”

Ye Alfaaz Is Baat Ki Daleel Hain Ki Kam-az Kam Nifas Ki Koi Muddat Muqarrar Nahe. Sahaba, Tabi’een Aur In Kai Baad Aanay Walay Ulama Ka Bhi Is Par Ijmaa Hai Ki Nifas Waali Auratain Chalees Din Namaz Chodengi Illa Ki Is Se Pehlay Kisi Waqt Bhi Paaki Mehsoos Karlen To Ghusl Kar Kai Namaz Padhengi.”
نیل الاوطار
1/414-415

NIFAS AHKAAM WA MASAIL ME HAIZ KI TARAH HAI:
———————————————
Hazrat Salma (R.A) Se Marvi Hai Ki:
“Nabi (S.A.W) Ki Biwiyon Me Se (Koi Bhi) Aurat Chalees Ratain Intizaar Karti Thi Aur Nabi (S.A.W) Isay Halat-e Nifas Me Chodi Huwi Namazon Ki Qazayi Ka Hukum Nahe Detay Thay.”
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 305)
(Abu Da’wud, Hadees: 312)

Nifas Ka Hukum Wahi Hai Jo Haiz Ka Hai Is Masalay Ki Daleel Wo Hadees Bhi Hai Jis Me Mazkur Hai Ki Rasoolullah (S.A.W) Ne Haiz Ko Nifas Ka Naam Diya. Hazrat Aaisha (R.A) Haiza Huwi To Rasoolullah (S.A.W) Ne Inhain Daryaft Karnay Kai Liye Kaha ((A’nufisti?)) “Kya Tu Haiza Ho Gayi Hai.”
(Bukhari, Hadees: 294)

Ulama Ka Is Masalay Me Ijmaa Hai Ki Nifas In Tamam Cheezon Me ‘Jo Halaal Wa Haraam Hoon Ya Makruh Wa Mustahab Hoon’ Haiz Ki Tarah Hi Hai.
نیل الاوطار 1/415
المجموع 2/520

IBN HAZM (RAHIMAHULLAH):
Nifas Ka Khoon Un Kamon Se Rook Deta Hai Jin Se Haiz Ka Khoon Rookta Hai.
المحلی، مسالة 261

SIDEEQ HASSAN KHAN (RAHIMAHULLAH):
Nifas “Humbistari Ki Hurmat, Namaz Aur Roza Chodnay Me Haiz Ki Tarah Hai.” Aur Is Me Koi Ikhtilaaf Nahe.
الروضة الندیة 1/192

SHOKANI (RAHIMAHULLAH):
Yahi Baat Durust Hai.
السیل الجرار 1/150

AGAR WILADAT KAI BAAD NIFAS KA KHOON NA AAYE:
———————————————
To Kya Aesi Aurat Par Namaz, Roza Zaruri Hai Ya Nahe? Aesi Aurat Kai Muta’alliq Saudi Mustaqil Fatwa Committee Ka Yahi Fatwa Hai Ki Jab Hamal Waz’a Ho Jaye Aur Khoon Na Niklay To Is Aurat Par Ghusl, Namaz Aur Roza (Sab) Wajib Hai Aur Ghusl Kai Baad Is Kai Khawind Kai Liye Is Se Jima Wa Humbistari Bhi Ja’iz Hai.
فتاوی اللجنة الدائمة للبحوث العلمیة والافتاء 1/420

NIFAS WAALI AURAT KO AGAR WAQFAY WAQFAY SE KHOON AAYE?
———————————————
Nifas Waali Aurat Agar Chalees Dino Se Pehlay Paak Ho Jaye Lekin Kuch Dino Baad Chalees Din Kai Andar Isay Dubara Khoon Aanay Lagay To Kya Isay Nifas Hi Samjha Jayega? Sabiq Mufti Azam Saudia Sheikh Ibn Baaz (Rahimahullah) Ka Is Baray Me Ye Fatwa Hai Ki Agar Wo Chalees Dino Se Pehlay Paak Ho Jaye Aur Namaz, Roza Aur Digar Ibadaat Ada Karnay Lagay Lekin Is Kai Baad Dubara Khoon Aajaye To Sahi Baat Yahi Hai Ki Chalees Dino Ki Muddat Kai Andar Isay Nifas Hi Samjha Jayega Aur Jo Rozay Namazen Aur Hajj Is Ne Halat-e Taharat Me Ada Kiye Thay Wo Sab Sahi Hain In Me Se Kisi Bhi Cheez Kai I’aadah (Dohranay) Ki Zarurat Nahe.
فتاوی ابن باز مترجم 1/54

KYA MUDDAT-E NIFAS ME AURAT GHAR SE BAHAR NIKAL SAKTI HAI?
———————————————
SHEIKH IBN BAAZ (RAHIMAHULLAH):
Nifas Waali Auratain Bhi Dusri Auraton Ki Tarah Hi Hain, Kisi Zarurat Ki Wajah Se Ghar Se Nikalnay Me In Par Koi Harj Nahe Aur Agar Koi Zarurat Na Ho To Tamam Auraton Kai Liye Hi Gharon Me Rehna Afzal Hai Kyunki Allah Ta’ala Ne Farmaya Hai Ki:
“Aur Wo (Auratain) Apnay Gharon Me Thehri Rahain Aur Jahiliyat Ka Bana’o Singhar Kar Kai Bahar Na Niklen.”
(Al Qur’aan Surat Al-Ahzab: 33)
فتاوی اسلامیة 1/242

KYA HALAT-E NIFAS ME AADMI APNI BIWI SE SHARMGAH KAI ILAWA MUBASHRAT KAR SAKTA HAI?
———————————————
SAUDI MUSTAQIL FATWA COMMITTEE:
Haan, Aesa Karna Ja’iz Hai Lekin Masnoon Ye Hai Ki Aadmi Biwi Ko Tehband Bandhnay Ka Hukum De Kyunki Hazrat Aaisha (R.A) Bayan Karti Hain Ki Rasoolullah (S.A.W) Mujhay Tehband Bandhnay Ka Hukum Detay Thay Phir Mujh Se Mubashrat Kartay Aur Me Haiza Hoti.
فتاوی اللجنة الدائمة للبحوث العلمیة والافتاء 1/422

POSTED BY: SAJAD BAKSHI
———————————————