MASJID KI FAZILAT

Usman (R.A) Riwayat Kartay Hain Ki Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya:
“Jo Shakhs Masjid Banaye (Aur) Is Kai Zariye Allah Ki Razamandi Chahay, Allah Is Kai Liye Bahisht (Jannat) Me Ghar Banata Hai.”
(Bukhari, Hadees: 450)
(Muslim, Hadees: 533)

Hazrat Abu Hurairah (R.A) Riwayat Kartay Hain Ki Rasoolullah (S.A.W) Ne Farmaya:
“Allah Ko Masjiden Bohut Zyada Mehboob Hain Aur Bazaar Intihayi Na Pasand Hain.”
(Muslim, Hadees: 671)

Matlab Ye Hai Ki Masjiden Duniya Ki Tamam Jaghon Se Allah Ko Zyada Mehboob Aur Pyaari Hain Kyunki In Me Allah Ki Ibadat Hoti Hai Aur Bazaar Tamam Jaghon Se Allah Kai Nazdeek Nihayat Na Pasandida Hain Kyunki Wahan Hirs (Greed), Tam’a, Jhut, Makr (Cheating) Aur Lain Dain Me Faraib Wagaira Ka Daur Daura Hota Hai. Yaad Rahay Ki Kisi Deeni Ya Dunyavi Zarurat Kai Bagair Bazaar Me Kabhi Na Jaye Aur Masjidon Se Mohabbat Karen.

Nabi (S.A.W) Ne Farmaya:
“Jab Tum Wazu Kar Kai Masjid Jao To Eak Hath Ki Ungliyan Dusray Hath Ki Ungliyon Me Na Dalo Beshak Is Waqt Tum Namaz Hi Me Hotay Ho.”
(Abu Da’wud, Hadees: 562)

Nabi (S.A.W) Ne Farmaya:
“Masjid Me Eak Hath Ki Ungliyan Dusray Hath Ki Ungliyon Me Na Dalo.”
(Musnad Ahmad: 4/42, 43, 241)

POSTED BY: SAJAD BAKSHI
———————————————