ISLAM KI PEHCHAAN PART: 1

Q: Tumhara Rabb Kon Hai?
A: Mera Rabb Allah Hai Jis Ne Apnay Azeem Rehm’o Karam Se Meri Parwarish Ki Aur Tamam Mokhluqaat Ki Parwarish Ki Wahi Mera Mabood Hai Us Kai Siwa Koi Ebadat Kai Layaq Nahe-
Irshaadi Bari Hai:
“Tamam Tarifain Allah Kai Leye Hai Jo Tamam Mokhluqaat Ka Rabb Hai”-
(Al Qur’aan Surat Al-Fatiha)

Q: Rabb Ka Mana Kya Hai?
A: Rabb Ka Mana Maalik, Mabood Wagera Kai Hai Aur Wahi Zaat Ebadat Ki Mustahaq Hai-

Q: Allah Ka Mana Batao?
A: Wo Zaat Jo Ebadat Kai Layaq Hai-

Q: Tum Ne Apnay Rabb Ko Kaise Pechana?
A: Me Ne Apnay Rabb Ko Is Kai Nu’n Bonu’n Mokhluqaat Aur Nu’n Ba Nu’n Nishaneyun Par Ghoro Fikr Kar Kai Pechana-

Q: Sab Se Badi Kon Se Mokhlooq Hai?
A: Sab Se Badi Mokhlooq Zameen’o Aasamaan Hai-

Q: Allah Ki Sab Se Badi Nishaani Kya Hai?
A: Allah Ki Sab Se Badi Nishaani Din Wa Raat Aur Suraj Wa Chaand Hai-

Q: Is Ki Daleel Kya Hai?
A: Is Ki Daleel Allah Ka Qol Hai- Irshaadi Bari Ha:
“Kuch Shak Nahe Ki Tumhara Parwardigaar Khuda He Hai Jis Ne Aasmanu’n Aur Zameen Ko 6 Din Me Paida Keya- Phir Arsh Par Ja Tehra- Wahi Raat Ko Din Ka Libaas Pehnata Hai Ki Wo Us Kai Pechay Doodta Chala Aata Hai- Aur Usi Ne Suraj Aur Chaand Aur Sitaaru’n Ko Paida Keya Hai- Sab Usi Kai Hukum Kai Mutabiq Kaam Me Lagay Huway Hain- Dekho Sab Makhlooq Bhi Usi Ki Hai Aur Hukum Bhi (Usi Ka Hai) Ye Khuda Rabbulaalamin Badi Barkat Wala Hai”-
(Al Qur’aan Surat Al-Araf: 54)

Q: Allah Ne Ham Ko Kis Leye Peda Keya?
A: Apni Ebadat Kai Leye-

Q: Us Ki Ebadat Kya Hai?
A: Us Ki Ebadat Ye Hai Ki Us Ko Akeela Aur Tan Tanha Mana Jaye Aur Usi Ki Ita’at Ki Jaye-

Q: Ham Kis Cheez Me Us Ki Ita’at Kare?
A: Us Kai Hukum Ko Manay Aur Us Ki Ma’na Karda Cheezo Se Baaz Aa Jaye-

Q: Is Ki Daleel Kya Hai?
A: Is Ki Daleel Allah Ka Qol Hai Ishaadi Bari Hai:
“Aur Me Ne Jinnu’n Aur Insaanu’n Ko Is Leye Paida Keya Ki Mere Ebadat Karein
(Al Qur’aan Surat Adh-Dhariyat: 56)

Q: “YABUDU’N” Ka Kya Matlab Hai?
A: Us Ki Tawheed Bayaan Karay Aur Ebadat Me Us Ko Eak Jaanay-

Q: Tawheed Kya Hai?
A: Sirf Allah Ki Ebadat Karna Ye Hai Tawheed-

POSTED BY: SAJAD BAKSHI
——————————-