MAZI AUR WADI KA BAYAN

Mazi Aesa Raqeeq (Thin) Paani Hai Jo Kamzoor Shehwat Kai Waqt, Ya Apni Biwi Se Kheltay Waqt, Ya Is Jaisay Kisi Kam Me Bagair Uchhalnay Kai Kharij Ho.
Mazi Kai Kharij Honay Par Ghusl Wajib Nahe Hota Sirf Wazu Karna Chahiye.
Mazeed Tafseel Mauzu’n (Topic) Me Aagay Di Gayi Hai.
Jabki Wadi Aesa Safed, Gadla (Frowzy), Bagair Badbu Kai Paani Hai Jo Peshab Se Qabl Ya Baad Kharij Ho.
Is Kai Nikalnay Par Bhi Ghusl Karna Zaruri Nahe Hai.
تحفة الاحوذی 1/388
فتح الباری 1/451
شرح مسلم للنووی 2/216

In Dono Kai Najis (Impure) Honay Par Ijmaa Hai.
المجموع 2/552
نیل الاوطار 1/103
بدایة المجتھد 1/73
فتح القدیر 1/135

Mazeed In Kai Najis Honay Kai Dala’il Hasb-e Zel Hain.

Hazrat Sahal Bin Haneef (R.A) Se Marvi Hai Ki Mujhay Bohut Zyada Mazi Aanay Ki Wajah Se Aksar Ghusl Karna Padta Tha To Me Ne Rasoolullah (S.A.W) Se Is Ka Zikr Kartay Huay Is Kai Muta’alliq Sawal Kiya? To Aap (S.A.W) Ne Farmaya:
“Tumhain To Sirf Wazu Hi Kafi Hai.”
Phir Me Ne Kaha Aay Allah Kai Rasool! Meray Kapday Ko Jahan Mazi Lag Gayi Ho Is Ka Kya Karun? Aap (S.A.W) Ne Farmaya:
“Tumhain Itna Hi Kafi Hai Ki Paani Ka Eak Chullu Lekar Apnay Kapday Par Is Jagah Bahado Jahan Tum Mazi Ko Laga Hua Dekhtay Ho.”
(Sahi Abu Da’wud, Hadees: 190)
(Abu Da’wud, Hadees: 210)
(Tirmizi, Hadees: 115)
(Ibn Majah, Hadees: 506)

Hazrat Ali (R.A) Se Bhi Isi Ma’na Me Hadees Marvi Hai Aur Is Me Ye Lafz Hain “Is Me Wazu Hai.” Aur Sahi Muslim Me Hai “Wo Apnay Zikr (Aala-e Tanasul) Ko Dhotay Aur Wazu Kar Letay.”
(Bukhari, Hadees: 132, 178)
(Muslim, Hadees: 303)
(Abu Da’wud, Hadees: 206)
(Ibn Majah, Hadees: 504)
(Ahmad: 1/129)

Nabi (S.A.W) Ne Farmaya:
“Agar Mazi Kharij Ho To Zikr (Aala-e Tanasul) Ko Dholo Aur Wazu Karo.”
Nez Farmaya:
“Aur Kapday Par (Jahan Mazi Lagi Ho) Eak Chullu Paani Lekar Chidak Lena Kafi Hai.”
(Bukhari, Hadees: 269)
(Muslim, Hadees: 303)
(Abu Da’wud, Hadees: 210)
(Tirmizi, Hadees: 115)

POSTED BY: SAJAD BAKSHI
———————————————