SHADI KAI BAAD AURATAIN APNA NAAM NA BADLAY

Jo Auratain Apnay Walid Ka Naam Hata Kar Shauhar Ka Naam Apnaya (Adopt) Karti Hain Shadi Kai Baad Wo Zara Gaur Kare’n Ki Ye Haraam Hai.

Misaal Kai Taur Par, Shadi Se Pehlay Ladki Ka Naam “Fatima Maqsood Ali” Tha Aur Sajid Siddiqi Se Shadi Karnay Kai Baad Ab Naam “Fatima Maqsood Ali” Se Badal Kar “Fatima Sajid Siddiqi” Ya Sirf “Fatima Sajid” Rakh Liya.
Ye Haraam Hai. Islam Me Is Ki Ijazat Nahe Ki Koi Apnay Baap (Walid) Ka Naam Hata Kar Apnay Shauhar Ka Naam Ya Apnay Shauhar Kai Khandan Ka Naam Apnay Naam Kai Sath Lagaye Ye Kuffar Ka Tareeka Hai Hamay Isko Apnanay Se Bachna Chahiye. Qur’aan Aur Hadees Me Bhi Is Tarah Naam Ko Badala Mana Kiya Gaya Hai.

Allah Ta’ala Qur’aan-e Majeed Me Irshad Farmatay Hai:
“Lay Paalko’n (Adopted Sons) Ko In Kai (Haqeeqi) Baapo’n Ki Taraf Nisbat Kar Kai Bulawo Allah Kai Nazdeek Pura Insaaf Yahi Hai. Phir Agar Tumhain In Kai (Haqeeqi) Baapo’n Ka Ilim Na Ho To Wo Tumharay Deeni Bhai Aur Doost Hain, Tum Se Bhul Chuk Me Jo Kuch Ho Jaye Is Me Tum Par Koi Gunah Nahe’n, Albatta Gunah Wo Hai Jis Ka Tum Iraada Dil Se Karo. Allah Ta’ala Bada Hi Bakshnay Wala Meharban Hai.”
(Al Qur’aan Surat Al-Ahzab: 5)

Jis Ne Apnay Naam Kai Sath Kisi Ka Naam Joda Jo Us Ka Baap Nahe Us Par Allah Ki, Farishton Ki Aur Tamaan Logon Ki Lanat Hai.
(Ibn Majah, Hadees: 2599, 2707)

Jis Ne Jaan Bhuj Kar Apni Shinakht Apnay Baap Kai Bagair Kisi Aur Se Milayi Usnay Kufr Kiya. Jisnay Us Shakhs Se Apnay Ko Joda Jo Uska Baap Nahe Wo Apna Thikana Jahannam Me Bana Lay.
(Bukhari, Hadees: 3508)
(Muslim, Hadees: 61)

Jo Koi Bhi Musalman Bannay Kai Baad Ye Dawaa Karta Hai Ki Wo Kisi Kai Sath Khud Ko Jodta Hai Jo Uska Baap Nahe, Ye Jaan Kar Ki Wo Uska Haqeeqi Baap Nahe, Jannat Uskay Liye Haraam Hai.
(Bukhari, Hadees: 4072)
(Muslim, Hadees: 63)

Is Se Zyada Aur Kya Chitaavni (Warning) Ho Sakti Hai.
Ye Kuffar Ka Tareeka Tha Aur Aaj Hamari Behnay Baday Shauk Se Isko Apnati Hain Yaad Rahay Baap Ka Rishta Kisi Bhi Naye Rishtay Kai Aanay Kai Baad Khatam Nahi Hota Aur Aulad Ki Shinakth Aur Pehchan Uskay Walid Kai Naam Se Hi Hogi, Aur Apnay Shauhar Ka Naam Apnay Naam Kai Sath Lagana Kufr Aur Haraam Ka Ba’is Hai.

Shauhar Aur Biwi Ka Khoon Ka Rishta Nahi Hota Aur Naam Sirf Khoon Kai Rishtay Se Hi Joda Ja Sakta Hai.
Agar Kisi Wajah Se Uska Talaaq Hoga To Us Surat Me Wo Kitnay Naamon Ko Badlegi?

Agar Shauhar Ka Naam Lagana Sahi Hota To Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Biwiyon Ne Bhi Apna Naam Badla Hota Kyuki Unkay Shauhar To Duniya Kai Afzal Tareen Shakhs Thay.
Hazrat Khadijah (Radi Allahu Anha) Hamesha Khadijah Bint Khuwaylid Rahi Aur Hazrat Aaisha (Radi Allahu Anha) Hamesha Ta Umr Aaisha Bint Abu Bakar Rahi.
Yaha’n Tak Ki Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Wo Biwiyan Jinkay Baap Kafir Thay Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Unkay Naam Ka Lakab Bhi Kabhi Tabdeel Nahi Kiya.

Jannat Me Auraton Ki Sardar Hazrat Fatima (Radi Allahu Anha) Hamesha Fatima Bint Muhammad Rahi Unhonay Hazrat Ali (Radi Allahu Anhu) Kai Naam Kai Sath Apnay Naam Ko Kabhi Nahe Joda.

Jis Behan Ne Bhi Galti Se Aesa Kiya Hai Wo Allah Ta’ala Se Sachi Tauba Karay Aur Apnay Walid Ka Naam Wapas Apnay Naam Se Joday. Hamay Apnay Amalon Ka Hisab Allah Ta’ala Ko Dena Hai Aur Ye Sarasar Allah Ta’ala Aur Uskay Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Nafarmani Hai Jis Se Sab Musalman Mardon Aur Auraton Ko Bachna Chahiye.

POSTED BY: SAJAD BAKSHI
———————————————