MUSALMAN AURAT KA PARDAH AUR LIBAAS PART: 2

CHEHRAY KA PARDAH:
———————————————
Sayyada Asma Bint-e Abu Bakar (R.A) Farmati Hai Ki:
“Hum Apnay Chehro Ko Mardo Se Chupaya Karti thee”.
(Sahi Ibn Khuzaymah: 269)

Hazrat Aaisha (R.A) Farmati Hai Ki:
“Safr-e Hajj Mai Jab Ham Ahram Bandhnay Ja Rahi Hotin To Jab Bhi Hujjaj Kai Qafilay Hamaray Samnay Se Guzartay To Ham Chehray Par Chadar Khainch Liya Karti thi Or Jab Qafilay Guzar Jatay To Phir Ham Chehray Khol Letin”.
(Sunan Ibn Majah, Kitab-ul Manasik, Baab-ul Mehrmaat, Hadees: 2935).

Sahi Bukhari Wa Sahi Muslim Or Kuch Hadees Ki Kitabo Me Ye Riwayat Hai Ki Jab Sayyada Aaisha (R.A) Par Tohmat Lagai Gai To Allah Ta’ala Ne Surat An-Noor Me In Kai Liye “Barraat” Nazil Ki. Ye Waqiya “Ufaq” Kai Naam Se Hadees Ki Kitabo Me Bohat Mashhoor Hai. Is Me Hai Ki:
“Sayyada Aaisha (R.A) Ne Jungle Se Wapis Aakar Jab Dekha Ki Qafla Chala Gaya To Woh Wahi Aakar Beth Gai Or Soo Gai. Subha Ko Jab Hazrat
Safwaan Bin Muattal Asalmi (R.A) Ka Guzar Waha Se
Howa To 1 Soye Howe Insaan Ko Dekh Kar Us Taraf Aaye Sayyada Aaisha (R.A) Farmati Hai Ki Jab Safwaan Udhar Aye To Unho Ney Mujhe Dekhtay He Pehchaan Liya. Kyunki
Parde Kai Hukum Se Pehle Woh Mujhe Dekh Chuke They. Mujhe Pehchaan Kar Unho Ney “Inna Lillahe Wa Inna Alehe Rajeoon” Parha To Un Ki Awaz Se Meri Aankh Khul
Gai Or Mene Apni Chadar Se Apna Chehra Dhaank Liya”.
(Sahi Bukhari, Kitab Al-Tafseer: 475)
(Sahi Muslim, Kitab Al-Toba: 277).

Ek Khatoon Jin Ka Naam Umm-e Khallad (R.A) Tha, Nabi Akram (S.A.W) Ki Khidmat Me Apne Betay Ka Jo Qatal Ho Chuka Tha Anjaam Daryaft Karne Ayen Aur Wo Naqaab Pehnay Hue Thi. Nabi Akram (S.A.W) Kai Eak Sahabi (R.A) Ne Un Ki Is Istiqamat Par Tajjub Karte Hue Kaha Ke Naqaab Pehan Kar Aap Betay Ka Haal Daryaft Karne Aayi Hain, To Unho Ne Is Ke Jawab Me Farmaya Ke Mera Beta Mara Hai Meri Haya Nahi Mari Hai. Is Ke Baad Rasoolullah (S.A.W) Ne Un Ko Taslli Di Ke Tumahre Bete Ko Do Shaheedon Ka Ajar Mile Ga.Unhon Ne Daryaft Kiya Ke Aesa Kyun Hoga Ya Rasoolullah (S.A.W)? Aap (S.A.W) Ne Farmaya Isliye Ke Usko Ahle Kitaab Ne Qatal Kiya Hai“.
(Abu Da’wud)

ZAIB-O ZEENAT:
———————————————
Zaib-o Zeenat Aur Araish Ko Zahir Karna Mana Hai.
“Apni Zeenat Ko Khula Na Rakhain”.
(Al Qur’aan Surat An-Noor: 31)

AANKHON KA PARDAH:
———————————————
Allah Ta’ala Ne Musalman Mardo Aur Aurato Ko Hukum Keya Ki Apni Nazro Ko Neechay Karein Taki Aankhon Kai Fitnay Se Mehfooz Reh Sakhay-
Allah Ta’ala Qur’aan Majeed Me Farmatay Hai:
“Mumin Mardo Se Keh Do Ki Apni Nigahain Neechi Rakha Karay Aur Apni Sharamgaho’n Ki Hifazat Keya Karain…..”
(Al Qur’aan Surat An-Noor: 30)

“Aur Mumin Aurato Se Bhi Keh Do Ki Wo Bhi Apni Nigahain Neechi Rakha Karain Aur Apni Sharamgaho’n Ki Hifazat Keya Karain…..”
(Al Qur’aan Surat An-Noor: 31)

Gin Cheezo Par Allah Ta’ala Ne Nazr Daalni Mana Ki Un Se Bacho- Islam Ne Ghair Aurat Par Nazr Daalni Ya Ghair Aurat Ko Ghair Mard Par Nazr Daalni Haraam Kardi- Haan Chaltay Phirtay Agar Achanak Nazr Paday To Wo Maaf Hai- Baar Baar Ghur Ghur Kar Dekhna Haraam Hai Isi Nazr Ko Hazoor (S.A.W) Ne Zina Farmaya Hai Jo Baar Baar Kisi Ajnabi Aurat Ki Taraf Dekha Jaye-
Jareer Bin Abdullah (R.A) Se Riwayat Hai Ki Me Ne Rasool-e-Kareem (S.A.W) Se Pucha- Us Nazr Kai Baray Me Jo Achanak Padh Jati Hai Kisi Ajnabi Aurat Par Aap (S.A.W) Ne Farmaya Phairday Apni Nazr-
(Tirmizi: 2776)
(Mishkaat: 3104)
Rasool-e-Kareem (S.A.W) Ne Farmaya Ali (R.A) Pehli Nazr Kai Baad Dusri Nazr Na Daalo Pehli Nazr Maaf Hai Dusri Nazr Maaf Nahein-
(Tirmizi: 2777)
(Mishkaat: 3110)

Yani Muraad Hai Ki Nazr Ko Azaad Na Choda Jaye Balki Khuda Kai Hukum Kai Mutabiq Aankhon Ki Hifazat Karay Jab Kisi Jinis Muqabal Par Nazr Paday To Na Uspar Nazrain Jama’ay Aur Na Usko Ghur Ghur Kar Dekhay-
Aankh Ki Hifazat Sharamgah Ki Hifazat Hai- Aankhon Ka Shar Sab Se Zada Khatarnak Hai Rasool-e-Kareem (S.A.W) Aankhon Kai Shar Se Panah Mangtay Thay-
(Mishkaat: 2472)

AURAT KI AAWAZ KA PARDAH:
———————————————
Auraton Ki Aawaz Ka Bhi Pardah Hai. Guftagu Me Mulaimat Nah Karo Kay Jis Kai Dil Me Khout Hai Woh Lalach
Kare Balkay Maqool Andaaz Se Baat Karo.
(Al Qur’aan Surat Al-Ahzab: 32)

AURAT KA KHUSHBU LAGANA:
———————————————
“Aurat Kai Liye Khushbu Laga Kar Ghar Se Nikalna Jayiz Nahi Jo Aurat Aesa Karti Hai Wo Badkaar Hai”.
(Tirmizi, Hadees: 2786)
(Sunan Abu Da’wud Hadees: 4173)

Ibn Masood (R.A) Farmatay Hai Ki Rasool-e-Kareem (S.A.W) Ne Farmaya Aurat Satr Hai Jab Bazaar Me Nikalti Hai To Shaitan Is Kai Husun Ko Dubala Kar Kai Dikhata Hai-
(Mishkaat: 3109)
(Tirmizi: 1173)
Isi Tarah Hazrat Jabir (R.A) Farmatay Hai Ki Rasool-e-Kareem (S.A.W) Ne Farmaya Aurat Jab Samnay Aati Hai Shaitan Ki Surat Me Aati Hai Aur Jab Jati Hai Shaitan Ki Surat Me Jati Hai.
(Tirmizi: 1158)

Be Pardah Aurat Shaitan Ka Shikaar Hai Aurat Parday Ki Cheez Hai. Jab Woh Ghar Se Bahar Nikalti Hai To Shaitan Is Ki Taak Jhaank Karta Rehta Hai.
(Tirmizi)
(LAST PART: 2)

POSTED BY: SAJAD BAKSHI
———————————————